Apni Zindagi Mein Jaidaad Taqseem Karna

Sawaal: Walidain apni zindagi mein jaidaad aulaad mein taqseem kar sakte hain?

Jawab: Walidain apni zindagi mein apni mamlookah jaidaad aulaad ko de sakte hain. Lekin zindagi mein di jaane wali jaidaad meeraas nahi balki Hiba (tohfa) shumaar hoti hai. Is liye iski taqseem par wirasat ke usool barah-e-raast laagu nahi hote.

Walidain apni zindagi mein apni jaidaad ke khud maalik hain, lehaza apni marzi se kisi ko kam ya zyada de sakte hain, basharte ke sharai mumana’at ya kisi waaris ko nuqsaan pahunchaane ki niyyat na ho.

📍 Albatta aulaad ke darmiyan adl-o-insaaf karna bahut aham hai. Nabi Kareem ﷺ ne ek Sahabi ko apni aulaad mein se ek bachche ko khaas atiya dene par farmaya:

اتَّقُوا اللّٰهَ وَاعْدِلُوا بَيْنَ أَوْلَادِكُمْ

Yaani Allah se daro aur apni aulaad ke darmiyan insaaf karo.”

(Sahih-ul-Bukhari, Sahih Muslim)

Zindagi mein jaidaad taqseem karne ki do 2️⃣ sooratein hain.

1️⃣ Pehli Soorat: Yeh ke ladke aur ladki ka farq kiye baghair sab ko barabar diya jaaye aur yeh tareeqa ziyada behtar hai.

2️⃣ Doosra Tareeqa: Yeh bhi ikhtiyaar kiya ja sakta hai ke ladke ko ladki se dugna diya jaaye. Yeh bhi jaaiz hai.

📚 Imam Ahle Sunnat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis Barelvi Alaihir Rahmah irshaad farmate hain:

Mazhab-e-Mufta Bihi par afzal yahi hai ke beton, betiyon sab ko barabar de. Yahi qaul Imam Abu Yusuf ka hai aur ”لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الْاُنْثَیَیْنِ“ dena bhi, jaisa ke qaul Imam Muhammad Rahmatullahi Alaih ka hai, mamnoo-o-naajaaiz nahi, agarche tark-e-awla hai.

(Fatawa Razawiyyah, Jild: 19, Safha: 231, Raza Foundation Lahore)

Wallahu A’alamu bissawab