Hazrath e Muawiya Raziallahu Ta’ala Anhu Sa’daat e Ikraam Ki Nazar Mein Post:20

Hazrat Ameer Muawiya Raziallahu Ta’ala Anhu Aur Sayyiduna Ibn Ajeeba Hasani Alayhirahma

“Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu Barhaq Imam Bangaye The”

Hazrat Sayyid Ahmad Bin Al-Mahdi Ibn Ajeeba Hasani Alayhirahma (Mutawaffa 1224 Hijri) farmate Hai……

Hazrat Imam Hasan Raziyallahu Anhu Ki Muddat-e-Khilafat, Khilafat-e-Rashida Ke Baqiya 6 Mahine Hai.
Yeh Arsa Guzar Raha Tha Aur Hazrat Imam Hasan Raziyallahu Anhu Chalees Hazaar
(40,000) Foujiyon Ke Saath Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu Ki Taraf Rawana Hue. Phir Jab Dono Lashkar Aamne Saamne Aaye Toh Imam Hasan Raziyallahu Anhu Ne Yaqeen Kar Liya Ke In Dono Lashkaron Mein Se Koi Ghalib Na Hoga, Yahan Tak Ke Doosre Giroh Ka Bada Hissa Tabah Na Ho Jaye.
Chunanche Chaha Ke Ummat Par Shafqat Karte Hue Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu Ke Haq Mein Khilafat Se In Sharaait Par Dastbardari Ke Liye Raazi Ho Gaye, Jo Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu Ne Qabool Farmaein.
Pas Khilafat Se Nuzool Farmaya. Is Waqt Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu Barhaq Imam Ban Gaye. Is Se Pehle Is Ke Baraks The, Magar Apne Ijtihad Ke Baais Gunahgaar Na The, Balke Ajar Paane Wale The.

References

1)Al-Anwaar-ul-Qudsiyyah Fi Sharh-il-Qaseedatil-Khazriyyah, Safha 329, Dar-ul-Kutub-il-Ilmiyyah, Beirut.

2,Hazrat e Muawiya Raziallahu Ta’ala Anhu Sa’daat e Ikraam Ki Nazar Mein Safa:90